asiran-e-hawadis ki giran-jaani nahin jati
asīrān-e-havādis kī girāñ-jānī nahīñ jaatī
jahāñ se ḳhūn-e-insānī kī arzānī nahīñ jaatī
daroġh-e-maslahat ke dekh kar āsār chehroñ par
haqīqat-āshnā āñkhoñ kī hairānī nahīñ jaatī
nishān-e-khusravī to miT ga.e haiñ lauh-e-ālam se
kulāh-e-khusravī se bū-e-sultānī nahīñ jaatī
añdherā is qadar hai shahr par chhāyā siyāsat kā
kisī bhī shaḳhs kī ab shakl pahchānī nahīñ jaatī
zamāna karbalā kā naam sun kar kaañp uThtā hai
abhī tak ḳhūn-e-shabbīrī kī jaulānī nahīñ jaatī
fuzūñ-tar aur hote jā rahe haiñ chaak dāman ke
rafū-gar se hamārī chāk-dāmānī nahīñ jaatī
ye maanā raushnī ko pī ga.ī zulmat jihālat kī
magar is zarra-e-ḳhākī kī tābānī nahīñ jaatī
asiran-e-hawadis ki giran-jaani nahin jati
jahan se KHun-e-insani ki arzani nahin jati
darogh-e-maslahat ke dekh kar aasar chehron par
haqiqat-ashna aankhon ki hairani nahin jati
nishan-e-khusrawi to miT gae hain lauh-e-alam se
kulah-e-khusrawi se bu-e-sultani nahin jati
andhera is qadar hai shahr par chhaya siyasat ka
kisi bhi shaKHs ki ab shakl pahchani nahin jati
zamana karbala ka nam sun kar kanp uThta hai
abhi tak KHun-e-shabbiri ki jaulani nahin jati
fuzun-tar aur hote ja rahe hain chaak daman ke
rafu-gar se hamari chaak-damani nahin jati
ye mana raushni ko pi gai zulmat jihaalat ki
magar is zarra-e-KHaki ki tabani nahin jati
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 244)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.