asl meñ vāqi.a huā yuuñ hai
vo bhī chup maiñ bhī chup rahā yuuñ hai
sāmne us ke zindagī saarī
aur tahī-dast maiñ bhī thā yuuñ hai
kuchh kahā maiñ ne kuchh sunā us ne
pal meñ sab kuchh ujaḌ gayā yuuñ hai
aaj bhī saiñkaḌoñ haiñ dīvāreñ
dar-haqīqat ye mas.ala yuuñ hai
ik bahut dil-nashīñ nazar meñ thā
darmiyāñ aa gayā ḳhudā yuuñ hai
maiñ pareshāñ thā garmiyoñ se bhī
dil bhī thā bad-havās sā yuuñ hai
merī pahchān hai mirā uslūb
'soz' merā nayā pata yuuñ hai
asl mein waqia hua yun hai
wo bhi chup main bhi chup raha yun hai
samne us ke zindagi sari
aur tahi-dast main bhi tha yun hai
kuchh kaha main ne kuchh suna us ne
pal mein sab kuchh ujaD gaya yun hai
aaj bhi sainkaDon hain diwaren
dar-haqiqat ye masala yun hai
ek bahut dil-nashin nazar mein tha
darmiyan aa gaya KHuda yun hai
main pareshan tha garmiyon se bhi
dil bhi tha bad-hawas sa yun hai
meri pahchan hai mera uslub
'soz' mera naya pata yun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.