asr-e-ashur se is arsa-e-shab tak ab tak
asr-e-āshūr se is arsa-e-shab tak ab tak
istiġhāse kī sadā aatī hai sab tak ab tak
dar se duurī kā sabab kuchh bhī ho par shahr ke biich
log pahuñche hī nahīñ rahmat-e-rab tak ab tak
ahl-e-īmāñ pe huī jin kī mohabbat vājib
ham nahīñ siikh sake un kā adab tak ab tak
chaudah sau saal meñ da.avā to bahut-soñ ne kiyā
koī pahuñchā nahīñ ik mard-e-ajab tak ab tak
ham ne un ko bhī sanad ibn-e-sanad maan liyā
jin kā ma.alūm nahīñ nām-o-nasab tak ab tak
koī labbaik kahe yā na kahe par 'ahmad'
istiġhāse kī sadā aatī hai sab tak ab tak
asr-e-ashur se is arsa-e-shab tak ab tak
istighase ki sada aati hai sab tak ab tak
dar se duri ka sabab kuchh bhi ho par shahr ke bich
log pahunche hi nahin rahmat-e-rab tak ab tak
ahl-e-iman pe hui jin ki mohabbat wajib
hum nahin sikh sake un ka adab tak ab tak
chaudah sau sal mein dawa to bahut-son ne kiya
koi pahuncha nahin ek mard-e-ajab tak ab tak
hum ne un ko bhi sanad ibn-e-sanad man liya
jin ka malum nahin nam-o-nasab tak ab tak
koi labbaik kahe ya na kahe par 'ahmad'
istighase ki sada aati hai sab tak ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.