asrar baDi der mein ye mujh pe khula hai
asrār baḌī der meñ ye mujh pe khulā hai
anvār kā mamba.a mire siine meñ chhupā hai
kyā soch ke bhar aa.ī haiñ ye jhiil sī āñkheñ
kyā soch ke dariyā ke kināre tū khaḌā hai
bujhte hue is diip kā tum hausla dekho
jo sub.h talak tez havāoñ se laḌā hai
uftād paḌī jab to huā mujh se gurezāñ
saa.e kī tarah jo bhī mire saath rahā hai
zarrāt kī sūrat na bikhar jaa.e kahīñ phir
ik ḳhvāb jo āñkhoñ meñ mirī aan basā hai
asrar baDi der mein ye mujh pe khula hai
anwar ka mamba mere sine mein chhupa hai
kya soch ke bhar aai hain ye jhil si aankhen
kya soch ke dariya ke kinare tu khaDa hai
bujhte hue is dip ka tum hausla dekho
jo subh talak tez hawaon se laDa hai
uftad paDi jab to hua mujh se gurezan
sae ki tarah jo bhi mere sath raha hai
zarraat ki surat na bikhar jae kahin phir
ek KHwab jo aankhon mein meri aan basa hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 462)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.