asrar-e-KHafi aur jali khol rahe the
asrār-e-ḳhafī aur jalī khol rahe the
jab gumbad-e-āfāq meñ ham bol rahe the
ḳhāmosh the jab sāhab-e-guftār jahāñ ke
us vaqt bhī ham log hī sach bol rahe the
sahrā-e-mohabbat meñ na Thahre kahīñ ik pal
har shaḳhs ke is rah meñ qadam Dol rahe the
vo aaj naqībān-e-mohabbat haiñ magar kal
pur-amn shab-o-roz meñ bis ghol rahe the
yā merī hī bātoñ meñ tavāzun na rahā thā
yā un kī kahānī meñ hī kuchh jhol rahe the
kuchh fikr hī kab mā.il-e-pur-zor thī apnī
lafzoñ ke parinde bhī to par tol rahe the
asrar-e-KHafi aur jali khol rahe the
jab gumbad-e-afaq mein hum bol rahe the
KHamosh the jab sahab-e-guftar jahan ke
us waqt bhi hum log hi sach bol rahe the
sahra-e-mohabbat mein na Thahre kahin ek pal
har shaKHs ke is rah mein qadam Dol rahe the
wo aaj naqiban-e-mohabbat hain magar kal
pur-amn shab-o-roz mein bis ghol rahe the
ya meri hi baaton mein tawazun na raha tha
ya un ki kahani mein hi kuchh jhol rahe the
kuchh fikr hi kab mail-e-pur-zor thi apni
lafzon ke parinde bhi to par tol rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.