ata-e-barq ka muddat se jo nishana hai
'atā-e-barq kā muddat se jo nishāna hai
hai faḳhr mujh ko vo merā hī āshiyāna hai
jo bah rahā hai gulistāñ meñ hai lahū merā
jo jal rahā hai vo merā hī āshiyāna hai
mizāj-e-gesu-e-daurāñ kī ḳhair ho yārab
sunā hai dast-e-sitamgar meñ aaj shāna hai
hai sehr us kī nigāhoñ meñ yā fareb-e-nazar
magar ye sach hai ki Thahrā huā zamāna hai
vahī hai saare diloñ kī shikast kā bā'is
laboñ pe us ke tabassum jo fātehāna hai
tafakkurāt masā.ib alam ġham-e-jānāñ
sabhī ke lutf kā markaz ġharīb-ḳhāna hai
hai fard-e-jurm hī mere ḳhilāf ai 'abrār'
mizāj us kā ye sunte haiñ munsifāna hai
'ata-e-barq ka muddat se jo nishana hai
hai faKHr mujh ko wo mera hi aashiyana hai
jo bah raha hai gulistan mein hai lahu mera
jo jal raha hai wo mera hi aashiyana hai
mizaj-e-gesu-e-dauran ki KHair ho yarab
suna hai dast-e-sitamgar mein aaj shana hai
hai sehr us ki nigahon mein ya fareb-e-nazar
magar ye sach hai ki Thahra hua zamana hai
wahi hai sare dilon ki shikast ka ba'is
labon pe us ke tabassum jo fatehana hai
tafakkuraat masaib alam gham-e-jaanan
sabhi ke lutf ka markaz gharib-KHana hai
hai fard-e-jurm hi mere KHilaf ai 'abrar'
mizaj us ka ye sunte hain munsifana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.