atlas-o-kamKHab banti thin jo pyari ungliyan
atlas-o-kamḳhāb bantī thiiñ jo pyārī uñgliyāñ
vaqt ke hāthoñ huiiñ be-nūr saarī uñgliyāñ
haa.e kis zālim ne de kar luqma-e-tar kā fareb
donoñ hāthoñ kī tarashvā liiñ hamārī uñgliyāñ
sang-reze phuul ban jaate haiñ jin ke lams se
kaash ham bhī dekhte chhūkar vo pyārī uñgliyāñ
zaḳhm par rakhiye to marham muñh meñ rakhiye to shakar
kitnī rāhat-baḳhsh haiñ jānāñ tumhārī uñgliyāñ
haath se sūraj ko chhūne kī tamanna mat karo
mom kā paikar ho gal jā.eñgī saarī uñgliyāñ
ġham ke āñgan meñ koī mahtāb utrā hī nahīñ
raah tak kar so ga.iiñ āḳhir kuñvārī uñgliyāñ
taaj kā saanī banā to duuñ magar Dar hai 'niyāz'
phir koī ḳhurram na kaTvā.e hamārī uñgliyāñ
atlas-o-kamKHab banti thin jo pyari ungliyan
waqt ke hathon huin be-nur sari ungliyan
hae kis zalim ne de kar luqma-e-tar ka fareb
donon hathon ki tarashwa lin hamari ungliyan
sang-reze phul ban jate hain jin ke lams se
kash hum bhi dekhte chhukar wo pyari ungliyan
zaKHm par rakhiye to marham munh mein rakhiye to shakar
kitni rahat-baKHsh hain jaanan tumhaari ungliyan
hath se suraj ko chhune ki tamanna mat karo
mom ka paikar ho gal jaengi sari ungliyan
gham ke aangan mein koi mahtab utra hi nahin
rah tak kar so gain aaKHir kunwari ungliyan
taj ka sani bana to dun magar Dar hai 'niyaz'
phir koi KHurram na kaTwae hamari ungliyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.