aur aazurdagi mein kya denge
aur āzurdagī meñ kyā deñge
ham ḳharāboñ ko hū-o-hā deñge
aish se dil bahut hai afsurda
ab sukūñ kī talab hai lā deñge
dil jo hai sho.ala hai tabāhī kā
ham ise ishq kī havā deñge
har-nafas ḳhud ko bhuul baiThe haiñ
ham ko Dar hai tumheñ bhulā deñge
rā.egānī hai fan hamārā ham
sabhī ko kaam par lagā deñge
zindagī sab ke bas kī baat nahīñ
āḳhirash sab ise gañvā deñge
aur aazurdagi mein kya denge
hum KHarabon ko hu-o-ha denge
aish se dil bahut hai afsurda
ab sukun ki talab hai la denge
dil jo hai shoala hai tabahi ka
hum ise ishq ki hawa denge
har-nafas KHud ko bhul baiThe hain
hum ko Dar hai tumhein bhula denge
raegani hai fan hamara hum
sabhi ko kaam par laga denge
zindagi sab ke bas ki baat nahin
aaKHirash sab ise ganwa denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.