aur ab to mere chehre se ubhar aata hai wo
aur ab to mere chehre se ubhar aatā hai vo
aa.ina maiñ dekhtā huuñ aur nazar aatā hai vo
hāl-e-dil kahne ko bārish kī zarūrat hai mujhe
aur mere ghar havā ke dosh par aatā hai vo
raat ko dil se koī āvāz aatī hai mujhe
jism kī dīvār se kaise guzar aatā hai vo
vaqt kho jaatā hai merī anjuman meñ is liye
apne baazū par ghaḌī ko bāñdh kar aatā hai vo
āḳhirī ziine talak koī ḳhabar hotī nahīñ
dil ke tah-ḳhāne meñ chupke se utar aatā hai vo
maiñ havā kī guftugū likhtā huuñ barg-e-shām par
jo kisī ko bhī nahīñ aatā hunar aatā hai vo
sar-burīdoñ ko tunak kar raat sūraj ne kahā
aur jab shānoñ pe rakh kar apnā sar aatā hai vo
vo nikaltā hī nahīñ 'mansūr' terī zaat se
zikr aa.e to sahī āñkhoñ meñ dar aatā hai vo
aur ab to mere chehre se ubhar aata hai wo
aaina main dekhta hun aur nazar aata hai wo
haal-e-dil kahne ko barish ki zarurat hai mujhe
aur mere ghar hawa ke dosh par aata hai wo
raat ko dil se koi aawaz aati hai mujhe
jism ki diwar se kaise guzar aata hai wo
waqt kho jata hai meri anjuman mein is liye
apne bazu par ghaDi ko bandh kar aata hai wo
aaKHiri zine talak koi KHabar hoti nahin
dil ke tah-KHane mein chupke se utar aata hai wo
main hawa ki guftugu likhta hun barg-e-sham par
jo kisi ko bhi nahin aata hunar aata hai wo
sar-buridon ko tunak kar raat suraj ne kaha
aur jab shanon pe rakh kar apna sar aata hai wo
wo nikalta hi nahin 'mansur' teri zat se
zikr aae to sahi aankhon mein dar aata hai wo
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 443)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.