aur abhi tez dauDna hai mujhe
aur abhī tez dauḌnā hai mujhe
zindagī duur kī sadā hai mujhe
huuñ musalsal safar meñ misl-e-havā
ḳhud-sarī merī rahnumā hai mujhe
jaane us kī judā.ī kyā hogī
jis kā milnā hī hādsa hai mujhe
vo bhī yaad aa.egā ḳhudā ke saath
vo bhī mamnūn kar gayā hai mujhe
ho chukā ḳhatm daur ḳhvāboñ kā
ab haqā.eq kā sāmnā hai mujhe
vo ki jābir hai ḳhvāhisheñ ma.asūm
ziist maidān-e-karbalā hai mujhe
ḳhatm hai dil pe dāstāñ-goī
kuchh musalsal sunā rahā hai mujhe
aur abhi tez dauDna hai mujhe
zindagi dur ki sada hai mujhe
hun musalsal safar mein misl-e-hawa
KHud-sari meri rahnuma hai mujhe
jaane us ki judai kya hogi
jis ka milna hi hadsa hai mujhe
wo bhi yaad aaega KHuda ke sath
wo bhi mamnun kar gaya hai mujhe
ho chuka KHatm daur KHwabon ka
ab haqaeq ka samna hai mujhe
wo ki jabir hai KHwahishen masum
zist maidan-e-karbala hai mujhe
KHatm hai dil pe dastan-goi
kuchh musalsal suna raha hai mujhe
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 216)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.