aur bhi koi rab se milne ka rasta hai baba-ji
aur bhī koī rab se milne kā rasta hai bābā-jī
duniyā ko ham kho na baiTheñ jī Dartā hai bābā-jī
kul aur juz kī raam kahānī mujh ko samajh nahīñ aatī
sunte haiñ qatra bhī dariyā ho jaatā hai bābā-jī
dhuup kī dastak kaise us ko bāhar le kar aatī hai
peḌ meñ hī poshīda kyā saaya hotā hai bābā-jī
aap ne ham ko batlāyā thā maut to ik darvāza hai
log samajhte haiñ ki banda mar jaatā hai bābā-jī
merī sochoñ kā laavā hī mujh ko zinda rakhtā hai
varna barfīle lahjoñ se ḳhuuñ jamtā hai baabā jī
maiñ ne jab bhī sochā hai bas apnī zaat kā sochā hai
merā likkhā kaise zinda rah saktā hai bābā-jī
isī liye to 'āsif' bhī ik chup sī sādhe phirtā hai
kaun yahāñ par us kī bātoñ ko suntā hai bābā-jī
aur bhi koi rab se milne ka rasta hai baba-ji
duniya ko hum kho na baiThen ji Darta hai baba-ji
kul aur juz ki ram kahani mujh ko samajh nahin aati
sunte hain qatra bhi dariya ho jata hai baba-ji
dhup ki dastak kaise us ko bahar le kar aati hai
peD mein hi poshida kya saya hota hai baba-ji
aap ne hum ko batlaya tha maut to ek darwaza hai
log samajhte hain ki banda mar jata hai baba-ji
meri sochon ka lawa hi mujh ko zinda rakhta hai
warna barfile lahjon se KHun jamta hai baba ji
main ne jab bhi socha hai bas apni zat ka socha hai
mera likkha kaise zinda rah sakta hai baba-ji
isi liye to 'asif' bhi ek chup si sadhe phirta hai
kaun yahan par us ki baaton ko sunta hai baba-ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.