aur hi chiz the kabe mein chale aane se
aur hī chiiz the ka.abe meñ chale aane se
but vo patthar haiñ ki hilte nahīñ but-ḳhāne se
khīñch ke aa.ī hai angūr ke jo daane se
hoñTh tak mere chalī aa.egī paimāne se
tū jo ma.azūr hai ai shaiḳh-e-haram aane se
girte paḌte hamīñ aa jā.eñge maiḳhāne se
der saaqī na ho muñh dekh ke rah jā.ūñgā
mai bahut tez hai uḌ jā.egī paimāne se
bekasī dekh koī ghar na milegā aisā
qadam aage na baḌhānā mire vīrāne se
sub.h ko pyaar se bichhḌe hue shab bhar ke mile
aa.ina ruḳh se milā zulf milī shāne se
zālim uThnā na mirī mahfil-e-mātam se abhī
uTh khaḌī hogī qayāmat tire uTh jaane se
jis meñ tafsīl se thā is dil-e-betāb kā zikr
vahī TukḌā unheñ bhāyā mire afsāne se
tum ne tanhā.ī meñ kis dil ke kiye the TukḌe
bū-e-ḳhūn aatī hai ab tak kisī vīrāne se
chhup gayā chāñd bujhī sham.a miTe naqsh-o-nigār
ab vo mahfil na rahī aap ke uTh jaane se
luuT lī kis ne tumhāre gul-e-āriz kī bahār
phuul murjhā ga.e ik raat ke bas jaane se
ek sāġhar ke liye aañkh dikhātā hai hameñ
le uThe jaate haiñ saaqī tire maiḳhāne se
nashsha 'safdar' ko bhī kuchh hai mai-e-mīnā.ī kā
faiz pahuñchā hai ise bhī usī maiḳhāne se
aur hi chiz the kabe mein chale aane se
but wo patthar hain ki hilte nahin but-KHane se
khinch ke aai hai angur ke jo dane se
honTh tak mere chali aaegi paimane se
tu jo mazur hai ai shaiKH-e-haram aane se
girte paDte hamin aa jaenge maiKHane se
der saqi na ho munh dekh ke rah jaunga
mai bahut tez hai uD jaegi paimane se
bekasi dekh koi ghar na milega aisa
qadam aage na baDhana mere virane se
subh ko pyar se bichhDe hue shab bhar ke mile
aaina ruKH se mila zulf mili shane se
zalim uThna na meri mahfil-e-matam se abhi
uTh khaDi hogi qayamat tere uTh jaane se
jis mein tafsil se tha is dil-e-betab ka zikr
wahi TukDa unhen bhaya mere afsane se
tum ne tanhai mein kis dil ke kiye the TukDe
bu-e-KHun aati hai ab tak kisi virane se
chhup gaya chand bujhi shama miTe naqsh-o-nigar
ab wo mahfil na rahi aap ke uTh jaane se
luT li kis ne tumhaare gul-e-ariz ki bahaar
phul murjha gae ek raat ke bas jaane se
ek saghar ke liye aankh dikhata hai hamein
le uThe jate hain saqi tere maiKHane se
nashsha 'safdar' ko bhi kuchh hai mai-e-minai ka
faiz pahuncha hai ise bhi usi maiKHane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.