aur is rang-bhari duniya mein kya kya na hua
aur is rang-bharī duniyā meñ kyā kyā na huā
bas mire ġham kā kisī tarh mudāvā na huā
tum ḳhafā ho ga.e jis din se mirī duniyā meñ
raat hī raat rahī haa.e saverā na huā
roz ik ajnabī chehre se milātā hai hameñ
aa.ina bhī kabhī ai dost hamārā na huā
dhuul uḌ uḌ ke bulātī hai kisī ko ab tak
baa'd majnūñ ke phir ābād ye sahrā na huā
'iid ke din bhī mulāqāt na hone paa.ī
jo mire saath huā dosto achchhā na huā
yaad bhī aa.ī nahīñ ab to kisī kī yaaro
mirī tanhā.ī ke jaisā koī sahrā na huā
apne dāman meñ chhupā to liyā lekin 'fārūq'
log kahte haiñ kisī kā kabhī dariyā na huā
aur is rang-bhari duniya mein kya kya na hua
bas mere gham ka kisi tarh mudawa na hua
tum KHafa ho gae jis din se meri duniya mein
raat hi raat rahi hae sawera na hua
roz ek ajnabi chehre se milata hai hamein
aaina bhi kabhi ai dost hamara na hua
dhul uD uD ke bulati hai kisi ko ab tak
ba'd majnun ke phir aabaad ye sahra na hua
'id ke din bhi mulaqat na hone pai
jo mere sath hua dosto achchha na hua
yaad bhi aai nahin ab to kisi ki yaro
meri tanhai ke jaisa koi sahra na hua
apne daman mein chhupa to liya lekin 'faruq'
log kahte hain kisi ka kabhi dariya na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.