aur kab tak KHun-fishan mausam ka tewar dekhna
aur kab tak KHun-fishan mausam ka tewar dekhna
Khaleel Farhat Karanjavi
MORE BYKhaleel Farhat Karanjavi
aur kab tak ḳhūñ-fishāñ mausam kā tevar dekhnā
aag barsātī nazar hāthoñ meñ ḳhanjar dekhnā
chhīn kar āñkhoñ se bīnā.ī na le jaa.e kahīñ
har taraf jaltī huī lāshoñ kā manzar dekhnā
aag jab phailī to hamsā.e kā ghar bhī jal gayā
us ne chāhā thā mirā jaltā huā ghar dekhnā
ab kaf-e-afsos kyā maltā hai ham kahte na the
paañv phailāne se pahle apnī chādar dekhnā
ab to kankar bhī guhar ke daam meñ bikne lage
kauḌiyoñ ke mol ab la.al-o-javāhar dekhnā
māh-o-anjum ho chuke tasḳhīr 'farhat' ab zarā
zaat ke andhe kueñ meñ bhī utar kar dekhnā
aur kab tak KHun-fishan mausam ka tewar dekhna
aag barsati nazar hathon mein KHanjar dekhna
chhin kar aankhon se binai na le jae kahin
har taraf jalti hui lashon ka manzar dekhna
aag jab phaili to hamsae ka ghar bhi jal gaya
us ne chaha tha mera jalta hua ghar dekhna
ab kaf-e-afsos kya malta hai hum kahte na the
panw phailane se pahle apni chadar dekhna
ab to kankar bhi guhar ke dam mein bikne lage
kauDiyon ke mol ab lal-o-jawahar dekhna
mah-o-anjum ho chuke tasKHir 'farhat' ab zara
zat ke andhe kuen mein bhi utar kar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.