aur kar lenge wo kya ab hamein ruswa kar ke
aur kar leñge vo kyā ab hameñ rusvā kar ke
ab jo aa.e haiñ to jā.eñge tamāshā kar ke
apnī taḳhlīq ke ikmāl se saudā kar ke
kaun is parde meñ baiThā hai tamāshā kar ke
ik zamāna hai pareshān muamma kyā hai
tum to ġhā.eb hue kuchh kaam adhūrā kar ke
tere jalve kī havas ham ko har ik rañg meñ hai
sū-e-but-ḳhāna chale jaate haiñ sajda kar ke
taaki sajdoñ kī taḌap meñ na kamī aa paa.e
aur sajdoñ ke liye nikle haiñ sajda kar ke
itnī rañgīn jo duniyā hai tirī hī to hai
kis tarah kufr kareñ ham yahāñ tauba kar ke
jis ne luTte hue dekhā hai tamaddun apnā
us se kahte ho rahe tum pe bharosa kar ke
ham se kyā pūchho ho ahvāl-e-haram ai logo
aaj ke dard kā jaao to mudāvā kar ke
'mānī' mai-ḳhāne ko masjid se chale kahte hue
thoḌī tabdīlī ko ho aate haiñ sajda kar ke
aur kar lenge wo kya ab hamein ruswa kar ke
ab jo aae hain to jaenge tamasha kar ke
apni taKHliq ke ikmal se sauda kar ke
kaun is parde mein baiTha hai tamasha kar ke
ek zamana hai pareshan muamma kya hai
tum to ghaeb hue kuchh kaam adhura kar ke
tere jalwe ki hawas hum ko har ek rang mein hai
su-e-but-KHana chale jate hain sajda kar ke
taki sajdon ki taDap mein na kami aa pae
aur sajdon ke liye nikle hain sajda kar ke
itni rangin jo duniya hai teri hi to hai
kis tarah kufr karen hum yahan tauba kar ke
jis ne luTte hue dekha hai tamaddun apna
us se kahte ho rahe tum pe bharosa kar ke
hum se kya puchho ho ahwal-e-haram ai logo
aaj ke dard ka jao to mudawa kar ke
'mani' mai-KHane ko masjid se chale kahte hue
thoDi tabdili ko ho aate hain sajda kar ke
- Book : Khama-e-Mani (Pg. 85)
- Author : Sulaiman Ahmad Mani
- Publication : Noor Printing Agency Suiwalan (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.