aur kis ko mere jine se ilaqa hoga
aur kis ko mire jiine se ilāqa hogā
koī hogā mirā qātil to masīhā hogā
bhiiḌ kī bhiiḌ use DhūñDne niklī hogī
ek vo shaḳhs jo har bhiiḌ meñ tanhā hogā
ret meñ pyaas ke dozaḳh ke sivā kuchh bhī nahīñ
mere sūkhe hue hoñToñ meñ hī dariyā hogā
dekh kar tujh ko jo nam ho ga.iiñ merī āñkheñ
tujh pe jo vaqt paḌā mujh pe bhī guzrā hogā
bas isī dhun meñ pas-o-pesh na dekhā ham ne
us ke aage bhī zarā dekh to leñ kyā hogā
maiñ to badnām bhī huuñ shahr meñ barbād bhī huuñ
aap ko baat nibhāne kā salīqa hogā
mar ga.e raah pe ye aas liye āñkhoñ meñ
koī murda to kisī siine meñ zinda hogā
yūñhī to rauñdte phirte nahīñ be-ḳhauf-o-ḳhatar
tum ne lāshoñ se hī ye shahr basāyā hogā
baat kuchh hogī javānī ke dinoñ se 'qaisī'
qais se apnā ta'alluq jo batātā hogā
aur kis ko mere jine se ilaqa hoga
koi hoga mera qatil to masiha hoga
bhiD ki bhiD use DhunDne nikli hogi
ek wo shaKHs jo har bhiD mein tanha hoga
ret mein pyas ke dozaKH ke siwa kuchh bhi nahin
mere sukhe hue honTon mein hi dariya hoga
dekh kar tujh ko jo nam ho gain meri aankhen
tujh pe jo waqt paDa mujh pe bhi guzra hoga
bas isi dhun mein pas-o-pesh na dekha hum ne
us ke aage bhi zara dekh to len kya hoga
main to badnam bhi hun shahr mein barbaad bhi hun
aap ko baat nibhane ka saliqa hoga
mar gae rah pe ye aas liye aankhon mein
koi murda to kisi sine mein zinda hoga
yunhi to raundte phirte nahin be-KHauf-o-KHatar
tum ne lashon se hi ye shahr basaya hoga
baat kuchh hogi jawani ke dinon se 'qaisi'
qais se apna ta'alluq jo batata hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.