aur koi nahin hamara hai
aur koī nahīñ hamārā hai
ik tirī yaad kā sahārā hai
ban gayā dil zabāñ hile nahīñ lab
ham ne yuuñ bhī tujhe pukārā hai
jo tire dar se duur guzrī hai
mujh ko us zindagī ne maarā hai
zindagī kyā hai ik tasalsul hai
imtihān-e-vafā hamārā hai
himmat-e-dil tirī qasam aksar
ham ko manzil ne ḳhud pukārā hai
ham ko ik aap kī ḳhushī ke liye
har ġham-e-zindagī gavārā hai
ahl-e-himmat ko har jagah hai sukūñ
jo hai tūfāñ vahī kinārā hai
dost dāman bachā ga.e 'maz.har'
vaqt par ham ne jab pukārā hai
aur koi nahin hamara hai
ek teri yaad ka sahaara hai
ban gaya dil zaban hile nahin lab
hum ne yun bhi tujhe pukara hai
jo tere dar se dur guzri hai
mujh ko us zindagi ne mara hai
zindagi kya hai ek tasalsul hai
imtihan-e-wafa hamara hai
himmat-e-dil teri qasam aksar
hum ko manzil ne KHud pukara hai
hum ko ek aap ki KHushi ke liye
har gham-e-zindagi gawara hai
ahl-e-himmat ko har jagah hai sukun
jo hai tufan wahi kinara hai
dost daman bacha gae 'mazhar'
waqt par hum ne jab pukara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.