aur kuchh der mein diwana sanbhal jaega
aur kuchh der meñ dīvāna sañbhal jā.egā
aap bahlā.eñ nahīñ ḳhud hī bahal jā.egā
kuchh na haath aa.egā phir baa'd meñ pachhtāoge
dosto haath se jab vaqt nikal jā.egā
gardish-e-vaqt se tū kis liye ghabrātā hai
ik zarā sabr ki ye vaqt bhī Tal jā.egā
azhdahā jab bhī milegā tujhe ġham kā ai dost
terī har ek masarrat ko nigal jā.egā
terī bātoñ meñ 'ḳhatīb' aisī fusūñ-kārī hai
terā dushman bhī sunegā to pighal jā.egā
aur kuchh der mein diwana sanbhal jaega
aap bahlaen nahin KHud hi bahal jaega
kuchh na hath aaega phir ba'd mein pachhtaoge
dosto hath se jab waqt nikal jaega
gardish-e-waqt se tu kis liye ghabraata hai
ek zara sabr ki ye waqt bhi Tal jaega
azhdaha jab bhi milega tujhe gham ka ai dost
teri har ek masarrat ko nigal jaega
teri baaton mein 'KHatib' aisi fusun-kari hai
tera dushman bhi sunega to pighal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.