aur kya hota bhala dard ki tashhir ke baad
aur kyā hotā bhalā dard kī tash.hīr ke baad
haath dhone hī paḌe jaan se tauqīr ke baad
kitnā vīrān hai dil merā zarā dekh to le
dil meñ rakkhā hī nahīñ kuchh tirī tasvīr ke baad
sher kahte to rahe yaar bahut log magar
koī shā.ir na huā miir taqī 'mīr' ke baad
raqs karne se mujhe rok na pāoge kabhī
aur pahnāoge kyā tum mujhe zanjīr ke baa'd
us kā andāz-e-sitam pūchh na mujh se ai tabīb
us ne ḳhanjar se bhī maarā mujhe shamshīr ke baad
haisiyat aur ġhamoñ kī faqat itnī hai 'zuhaib'
chhoTā lagne lagā har ġham ġham-e-shabbīr ke ba.ad
aur kya hota bhala dard ki tashhir ke baad
hath dhone hi paDe jaan se tauqir ke baad
kitna viran hai dil mera zara dekh to le
dil mein rakkha hi nahin kuchh teri taswir ke baad
sher kahte to rahe yar bahut log magar
koi shair na hua mir taqi 'mir' ke baad
raqs karne se mujhe rok na paoge kabhi
aur pahnaoge kya tum mujhe zanjir ke ba'd
us ka andaz-e-sitam puchh na mujh se ai tabib
us ne KHanjar se bhi mara mujhe shamshir ke baad
haisiyat aur ghamon ki faqat itni hai 'zuhaib'
chhoTa lagne laga har gham gham-e-shabbir ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.