aur mahak thi jo us bagh ki ghas mein thi
aur mahak thī jo us baaġh kī ghaas meñ thī
us ke paañv kī ḳhushbū bhī us baas meñ thī
tujh bārish ne tan phūloñ se bhar Daalā
ḳhālī shāḳh thī aur is rut kī aas meñ thī
tū ne aas dilā.ī mujh ko jiine kī
maiñ to sāñseñ letī miTTī yaas meñ thī
yaad to kar vo lamhe vo rāteñ vo din
maiñ bhī tere saath usī ban-bās meñ thī
har pal tere saath thī maiñ kab duur rahī
maiñ ḳhushbū thī aur tire ehsās meñ thī
bārish thī shab-bhar aur bhiig rahī thī maiñ
'jānāñ' kaisī shiddat merī pyaas meñ thī
aur mahak thi jo us bagh ki ghas mein thi
us ke panw ki KHushbu bhi us bas mein thi
tujh barish ne tan phulon se bhar Dala
KHali shaKH thi aur is rut ki aas mein thi
tu ne aas dilai mujh ko jine ki
main to sansen leti miTTi yas mein thi
yaad to kar wo lamhe wo raaten wo din
main bhi tere sath usi ban-bas mein thi
har pal tere sath thi main kab dur rahi
main KHushbu thi aur tere ehsas mein thi
barish thi shab-bhar aur bhig rahi thi main
'jaanan' kaisi shiddat meri pyas mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.