aur phir kuchh bhi ba-juz-dida-e-hairan na raha
aur phir kuchh bhī ba-juz-dīda-e-hairāñ na rahā
husn kāfir na rahā 'ishq musalmāñ na rahā
jis taraf dekhiye āsān hī āsān hai sab
zindagī karne ko ab koī bhī sāmāñ na rahā
shab-e-be-ḳhvāb yahī nazr-e-tabassum ho qubūl
ab koī ashk tirī shaan ke shāyāñ na rahā
lauT aanā paḌā sahrāoñ se bastī kī taraf
kyā kaheñ in se ki kyoñ chaak garebāñ na rahā
chāñd bolā na rahā ḳhvāb koī āñkhoñ meñ
maiñ ne āñkhoñ ko jhukā kar ye kahā haañ na rahā
aur phir kuchh bhi ba-juz-dida-e-hairan na raha
husn kafir na raha 'ishq musalman na raha
jis taraf dekhiye aasan hi aasan hai sab
zindagi karne ko ab koi bhi saman na raha
shab-e-be-KHwab yahi nazr-e-tabassum ho qubul
ab koi ashk teri shan ke shayan na raha
lauT aana paDa sahraon se basti ki taraf
kya kahen in se ki kyon chaak gareban na raha
chand bola na raha KHwab koi aankhon mein
main ne aankhon ko jhuka kar ye kaha han na raha
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 122)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.