aur si dhup ghaTa aur si rakkhi hui hai
aur si dhup ghaTa aur si rakkhi hui hai
Ahmad Sagheer Siddiqui
MORE BYAhmad Sagheer Siddiqui
aur sī dhuup ghaTā aur sī rakkhī huī hai
ham ne is ghar kī fazā aur sī rakkhī huī hai
kuchh maraz aur sā ham ne bhī lagāyā huā hai
aur us ne bhī davā aur sī rakkhī huī hai
is qadar shor meñ bas ek hamīñ haiñ ḳhāmosh
ham ne hoñToñ pe sadā aur sī rakkhī huī hai
vo duā aur hai jo maañg rahe haiñ ki abhī
dil meñ ik aur duā aur sī rakkhī huī hai
qissa apnā bhī purānā hai sivā.e is ke
bas zarā tarz-e-adā aur sī rakkhī huī hai
aur si dhup ghaTa aur si rakkhi hui hai
hum ne is ghar ki faza aur si rakkhi hui hai
kuchh maraz aur sa hum ne bhi lagaya hua hai
aur us ne bhi dawa aur si rakkhi hui hai
is qadar shor mein bas ek hamin hain KHamosh
hum ne honTon pe sada aur si rakkhi hui hai
wo dua aur hai jo mang rahe hain ki abhi
dil mein ek aur dua aur si rakkhi hui hai
qissa apna bhi purana hai siwae is ke
bas zara tarz-e-ada aur si rakkhi hui hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 610)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.