aur talim-e-jihaalat nahin di ja sakti
aur ta.alīm-e-jihālat nahīñ dī jā saktī
qaum ko itnī aziyyat nahīñ dī jā saktī
pyaaz hāzir haiñ muhayyā haiñ yahāñ juute bhī
ik lagātār sa.ūbat nahīñ dī jā saktī
aap ko sachchī gavāhī kī ijāzat hai magar
aap kī jaañ kī zamānat nahīñ dī jā saktī
zindagī jin kī guzartī hai ghane sho.aloñ meñ
un ko dozaḳh kī bashārat nahīñ dī jā saktī
qissa-e-zulm simaTne kī ghaḌī aa pahuñchī
ab ise aur tavālat nahīñ dī jā saktī
ham ki pahchān se guzre haiñ vafā kī ḳhātir
is se baḌh kar koī qīmat nahīñ dī jā saktī
un ke zaḳhmoñ ko namak-dān muhayyā kar do
jin ko marham kī suhūlat nahīñ dī jā saktī
ik rivāyat hai ki jo log hoñ tājir-pesha
un ke hāthoñ meñ qayādat nahīñ dī jā saktī
koī darḳhvāst liye aaya to kah deñge use
bam dhamākoñ kī ijāzat nahīñ dī jā saktī
aañkh badlī hai to phir aks se parda kar lo
aa.ine ko na.ī hairat nahīñ dī jā saktī
likh ke jo bhej diyā hai vo bayāñ nashr kareñ
ab savālāt kī jur.at nahīñ dī jā saktī
dard-mandoñ ke ḳhazāne se na baḳhshish māñgo
daan meñ dard kī daulat nahīñ dī jā saktī
aur talim-e-jihaalat nahin di ja sakti
qaum ko itni aziyyat nahin di ja sakti
pyaz hazir hain muhayya hain yahan jute bhi
ek lagatar saubat nahin di ja sakti
aap ko sachchi gawahi ki ijazat hai magar
aap ki jaan ki zamanat nahin di ja sakti
zindagi jin ki guzarti hai ghane shoalon mein
un ko dozaKH ki bashaarat nahin di ja sakti
qissa-e-zulm simaTne ki ghaDi aa pahunchi
ab ise aur tawalat nahin di ja sakti
hum ki pahchan se guzre hain wafa ki KHatir
is se baDh kar koi qimat nahin di ja sakti
un ke zaKHmon ko namak-dan muhayya kar do
jin ko marham ki suhulat nahin di ja sakti
ek riwayat hai ki jo log hon tajir-pesha
un ke hathon mein qayaadat nahin di ja sakti
koi darKHwast liye aaya to kah denge use
bam dhamakon ki ijazat nahin di ja sakti
aankh badli hai to phir aks se parda kar lo
aaine ko nai hairat nahin di ja sakti
likh ke jo bhej diya hai wo bayan nashr karen
ab sawalat ki jurat nahin di ja sakti
dard-mandon ke KHazane se na baKHshish mango
dan mein dard ki daulat nahin di ja sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.