aur taDpae mujhe dard-e-jigar aaj ki raat
aur taDpae mujhe dard-e-jigar aaj ki raat
Raja Naushad Ali Khan
MORE BYRaja Naushad Ali Khan
aur taḌpā.e mujhe dard-e-jigar aaj kī raat
kal vo ā.eñge nahīñ aa.e agar aaj kī raat
ḳhud-baḳhud kam hai mirā dard-e-jigar aaj kī raat
kaun aa.egā ilāhī mire ghar aaj kī raat
ulTe detā hai naqāb-e-ruḳh-e-raushan koī
shaam hī se huī jaatī hai sahar aaj kī raat
maiñ jo betāb gayā bazm meñ to vo bole
ḳhair hai ḳhair hai aa nikle kidhar aaj kī raat
dar-e-mai-ḳhāna agar band hai masjid ko chalo
mai-kasho paḌ raho allāh ke ghar aaj kī raat
haañ zarā chauñk to aiñTh aiñTh ke sone vaale
le kisī āshiq-e-muztar kī ḳhabar aaj kī raat
ek muddat se jise DhūñD rahī thiiñ āñkheñ
aane vaalā hai vahī rashk-e-qamar aaj kī raat
sub.h hote tire bīmār kā dam niklegā
hai ye mehmāñ sifat-e-sham-e-sahar aaj kī raat
dard-e-dil tū ne hameñ maar hī Daalā hotā
vo kaleje se lagāte na agar aaj kī raat
koī sotā hai kahīñ saath kisī ke shāyad
dil ke hamrāh taḌaptā hai jigar aaj kī raat
tum to mar jāoge dam bhar meñ taḌap ke 'naushād'
dūr-az-hāl vo aa.e na agar aaj kī raat
aur taDpae mujhe dard-e-jigar aaj ki raat
kal wo aaenge nahin aae agar aaj ki raat
KHud-baKHud kam hai mera dard-e-jigar aaj ki raat
kaun aaega ilahi mere ghar aaj ki raat
ulTe deta hai naqab-e-ruKH-e-raushan koi
sham hi se hui jati hai sahar aaj ki raat
main jo betab gaya bazm mein to wo bole
KHair hai KHair hai aa nikle kidhar aaj ki raat
dar-e-mai-KHana agar band hai masjid ko chalo
mai-kasho paD raho allah ke ghar aaj ki raat
han zara chaunk to ainTh ainTh ke sone wale
le kisi aashiq-e-muztar ki KHabar aaj ki raat
ek muddat se jise DhunD rahi thin aankhen
aane wala hai wahi rashk-e-qamar aaj ki raat
subh hote tere bimar ka dam niklega
hai ye mehman sifat-e-sham-e-sahar aaj ki raat
dard-e-dil tu ne hamein mar hi Dala hota
wo kaleje se lagate na agar aaj ki raat
koi sota hai kahin sath kisi ke shayad
dil ke hamrah taDapta hai jigar aaj ki raat
tum to mar jaoge dam bhar mein taDap ke 'naushad'
dur-az-haal wo aae na agar aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.