aur tamasha mujhse yar nahin hota
aur tamāsha mujh se yaar nahīñ hotā
mujh se ab merā kirdār nahīñ hotā
jaag uThtī haiñ āñkheñ dhuup nikalte hī
kaun hai jo mujh meñ bedār nahīñ hotā
khul jaatā huuñ 'ishq kī ek hī dastak se
maiñ vo dar huuñ jo dīvār nahīñ hotā
us ke 'ishq meñ aisī jagah par huuñ maiñ jahāñ
vo bhī ab mujh ko darkār nahīñ hotā
ḳhud se ho kar aanā paḌtā hai tujh tak
mujh se roz ye jangal paar nahīñ hotā
aur tamasha mujh se yar nahin hota
mujh se ab mera kirdar nahin hota
jag uThti hain aankhen dhup nikalte hi
kaun hai jo mujh mein bedar nahin hota
khul jata hun 'ishq ki ek hi dastak se
main wo dar hun jo diwar nahin hota
us ke 'ishq mein aisi jagah par hun main jahan
wo bhi ab mujh ko darkar nahin hota
KHud se ho kar aana paDta hai tujh tak
mujh se roz ye jangal par nahin hota
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 46)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.