aur teri to kisi baat se inkar nahin
aur terī to kisī baat se inkār nahīñ
vo jo har baar huā hai vahī is baar nahīñ
ham ko kis samt meñ jaanā hai ye samjhā.e kaun
aur ham log samajhne ko bhī tayyār nahīñ
bāl-o-par se nahīñ uḌtā huuñ junūñ se apne
paañv zanjīr hue haiñ mirī raftār nahīñ
aañkh par ḳhauf kā parda bhī to ho saktā hai
ye jo dīvār nazar aatī hai dīvār nahīñ
jo tujhe dekhnā hotā hai vahī dekhtā hai
terī āñkhoñ meñ tire ḳhvāb haiñ āzār nahīñ
raat hote hī gharoñ ko jo palaTte haiñ 'samīr'
ye ujāloñ ke taraf-dār haiñ haqdār nahīñ
aur teri to kisi baat se inkar nahin
wo jo har bar hua hai wahi is bar nahin
hum ko kis samt mein jaana hai ye samjhae kaun
aur hum log samajhne ko bhi tayyar nahin
baal-o-par se nahin uDta hun junun se apne
panw zanjir hue hain meri raftar nahin
aankh par KHauf ka parda bhi to ho sakta hai
ye jo diwar nazar aati hai diwar nahin
jo tujhe dekhna hota hai wahi dekhta hai
teri aankhon mein tere KHwab hain aazar nahin
raat hote hi gharon ko jo palaTte hain 'samir'
ye ujalon ke taraf-dar hain haqdar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.