aur to dharti pe kab kaise kahan ugta namak
aur to dhartī pe kab kaise kahāñ ugtā namak
ham ne aksar nai-shakar boyā hai aur kaaTā namak
us ruḳh-e-gul-rang par kajlāhaTeñ sī dhuup kī
jaise shīrīnī meñ koī ghol de thoḌā namak
lazzat-e-āzār jab pāmāl ho to aur lutf
zaḳhm ko vo duur hī se kaash dikhlātā namak
vo ta'alluq meñ ravā rakhtā hai lutf-o-jaur saath
yā'nī is mashrūb meñ aadhī shakar aadhā namak
ghul rahā ho jab fazā meñ ek tīkhā zā.iqa
sarsarātā hai havāoñ meñ bhī tab goyā namak
ret kar dete haiñ chaTTānoñ ko mausam ke bhañvar
maiñ to phir barsāt kī bhīgī havā khātā namak
ghar kī dīvāroñ ko mere jitnā luuni khā ga.ī
utnā maiñ ne zindagī kā hai kahāñ khāyā namak
jab samundar chaḌh ke mere sar ke uupar aa gayā
kaan meñ ik lahr bolī kaise kuchh chakkhā namak
vo namakdāñ hai sarāpā shoḳh chanchal sāñvrā
us kī murlī ke suroñ meñ bhī hai lahrātā namak
aur to dharti pe kab kaise kahan ugta namak
hum ne aksar nai-shakar boya hai aur kaTa namak
us ruKH-e-gul-rang par kajlahaTen si dhup ki
jaise shirini mein koi ghol de thoDa namak
lazzat-e-azar jab pamal ho to aur lutf
zaKHm ko wo dur hi se kash dikhlata namak
wo ta'alluq mein rawa rakhta hai lutf-o-jaur sath
ya'ni is mashrub mein aadhi shakar aadha namak
ghul raha ho jab faza mein ek tikha zaiqa
sarsaraata hai hawaon mein bhi tab goya namak
ret kar dete hain chaTTanon ko mausam ke bhanwar
main to phir barsat ki bhigi hawa khata namak
ghar ki diwaron ko mere jitna luni kha gai
utna main ne zindagi ka hai kahan khaya namak
jab samundar chaDh ke mere sar ke upar aa gaya
kan mein ek lahr boli kaise kuchh chakkha namak
wo namakdan hai sarapa shoKH chanchal sanwra
us ki murli ke suron mein bhi hai lahraata namak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.