Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

auraq zindagi ke ulaTne lage to hain

Noor Paikar

auraq zindagi ke ulaTne lage to hain

Noor Paikar

MORE BYNoor Paikar

    aurāq zindagī ke ulaTne lage to haiñ

    āsār-e-sub.h-o-shām badalne lage to haiñ

    kyā ġham jo sehn-e-bāġh meñ aa.ī nahīñ bahār

    shāḳhoñ pe chand phuul humakne lage to haiñ

    kaalī rutoñ meñ sahme hue the tamām log

    ab siina taan kar vo nikalne lage to haiñ

    ahd-e-sitam-garāñ meñ bhī ye sāda-lauh log

    jhūTī tasalliyoñ se bahalne lage to haiñ

    ab ke havā ne kaan meñ maujoñ se kyā kahā

    paanī pe kuchh habāb ubharne lage to haiñ

    'paikar' vo haath jo the sirhāne dhare hue

    un hāthoñ meñ bhī teshe chamakne lage to haiñ

    auraq zindagi ke ulaTne lage to hain

    aasar-e-subh-o-sham badalne lage to hain

    kya gham jo sehn-e-bagh mein aai nahin bahaar

    shaKHon pe chand phul humakne lage to hain

    kali ruton mein sahme hue the tamam log

    ab sina tan kar wo nikalne lage to hain

    ahd-e-sitam-garan mein bhi ye sada-lauh log

    jhuTi tasalliyon se bahalne lage to hain

    ab ke hawa ne kan mein maujon se kya kaha

    pani pe kuchh habab ubharne lage to hain

    'paikar' wo hath jo the sirhane dhare hue

    un hathon mein bhi teshe chamakne lage to hain

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now