auron mein KHud ko jaan-ba-lab DhunDte rahe
auroñ meñ ḳhud ko jān-ba-lab DhūñDte rahe
ġhairoñ meñ apnā nām-o-nasab DhūñDte rahe
sūraj to raushnī ke sahīfoñ meñ qaid thā
ham sab use pas-e-ruḳh-e-shab DhūñDte rahe
jo thā hamāre saath har ik rang meñ use
patthar kī ik havelī meñ sab DhūñDte rahe
dhokā thā vo nazar kā magar is kā kyā kaheñ
duniyā kī bhiiḌ meñ use jab DhūñDte rahe
vo thā tire mire rag-e-jāñ ke hisār meñ
dair-o-haram meñ hī use jab DhūñDte rahe
miltā nahīñ sukūñ tirī bazm-e-hayāt meñ
jiite jī ham to maut ke Dhab DhūñDte rahe
auron mein KHud ko jaan-ba-lab DhunDte rahe
ghairon mein apna nam-o-nasab DhunDte rahe
suraj to raushni ke sahifon mein qaid tha
hum sab use pas-e-ruKH-e-shab DhunDte rahe
jo tha hamare sath har ek rang mein use
patthar ki ek haweli mein sab DhunDte rahe
dhoka tha wo nazar ka magar is ka kya kahen
duniya ki bhiD mein use jab DhunDte rahe
wo tha tere mere rag-e-jaan ke hisar mein
dair-o-haram mein hi use jab DhunDte rahe
milta nahin sukun teri bazm-e-hayat mein
jite ji hum to maut ke Dhab DhunDte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.