auron se dil lagane ki aadat nahin mujhe
auroñ se dil lagāne kī 'ādat nahīñ mujhe
tere sivā kisī se mohabbat nahīñ mujhe
aa.e nazar na jis meñ tirā 'aks-e-ḳhush-jamāl
us aa.ine kī koī zarūrat nahīñ mujhe
jis din se tere hijr kā paayā hai maiñ ne ġham
bazm-e-tarab meñ rahne kī chāhat nahīñ mujhe
zikr-e-shab-e-firāq se aatā hai mujh ko ḳhauf
varna kisī bhī chiiz se vahshat nahīñ mujhe
maiñ tujh ko sochne meñ huuñ mashġhūl is tarah
ḳhud apnā sochne kī bhī fursat nahīñ mujhe
āñkhoñ ko tere chehre kā dīdār ho nasīb
ab aur ziist meñ koī hasrat nahīñ mujhe
jo baat dil meñ hai vo bayāñ kis tarah karūñ
'mohkam' ki lab-kushā.ī kī jur.at nahīñ mujhe
auron se dil lagane ki 'adat nahin mujhe
tere siwa kisi se mohabbat nahin mujhe
aae nazar na jis mein tera 'aks-e-KHush-jamal
us aaine ki koi zarurat nahin mujhe
jis din se tere hijr ka paya hai main ne gham
bazm-e-tarab mein rahne ki chahat nahin mujhe
zikr-e-shab-e-firaq se aata hai mujh ko KHauf
warna kisi bhi chiz se wahshat nahin mujhe
main tujh ko sochne mein hun mashghul is tarah
KHud apna sochne ki bhi fursat nahin mujhe
aankhon ko tere chehre ka didar ho nasib
ab aur zist mein koi hasrat nahin mujhe
jo baat dil mein hai wo bayan kis tarah karun
'mohkam' ki lab-kushai ki jurat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.