awwal awwal to zarurat mein badal jate hain
avval avval to zarūrat meñ badal jaate haiñ
dūriyāñ karte haiñ phir duur nikal jaate haiñ
be-vafā maiñ ne tujhe pyaar kiyā hai jitnā
utnī chāhat se to patthar bhī pighal jaate haiñ
kis tarah ġhair kā hote hue dekheñge tumheñ
tum se bāteñ koī kartā hai to jal jaate haiñ
jurm har baar nigāhoñ kā nahīñ hotā hai
hazrat-e-dil bhī ka.ī baar machal jaate haiñ
maiñ ne har baar yahī kah ke sañbhālā ḳhud ko
'saif' kaise bhī hoñ hālāt badal jaate haiñ
awwal awwal to zarurat mein badal jate hain
duriyan karte hain phir dur nikal jate hain
be-wafa main ne tujhe pyar kiya hai jitna
utni chahat se to patthar bhi pighal jate hain
kis tarah ghair ka hote hue dekhenge tumhein
tum se baaten koi karta hai to jal jate hain
jurm har bar nigahon ka nahin hota hai
hazrat-e-dil bhi kai bar machal jate hain
main ne har bar yahi kah ke sanbhaala KHud ko
'saif' kaise bhi hon haalat badal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.