ayagh-e-dil na bhara tha magar chhalak bhi gaya
ayāġh-e-dil na bharā thā magar chhalak bhī gayā
ki ek qatra-e-ḳhūñ kar ke nam palak bhī gayā
badan qafas sahī rūheñ bhī āshnā na huiiñ
tirī talāsh meñ hadd-e-junūñ talak bhī gayā
kuchh is ko paane kā tab bhī yaqīñ thā ab bhī nahīñ
dikhā ke garche vo mauhūm sī jhalak bhī gayā
rasā huā na huā bhed khul nahīñ paayā
jo ek nāla-e-shab jānib-e-falak bhī gayā
ridā-e-abr balā-e-havā se chaak huī
to kyā hai sar se jo āñchal tirā Dhalak bhī gayā
sirā bhī haath meñ thā kholne kī fikr bhī thī
magar vo uqda-e-pur-pech-o-gunjlak bhī gayā
ye ins-o-jān sadā se ḳhatā ke putle the
pa ho ke rāñda-e-dargāh ab malak bhī gayā
ayagh-e-dil na bhara tha magar chhalak bhi gaya
ki ek qatra-e-KHun kar ke nam palak bhi gaya
badan qafas sahi ruhen bhi aashna na huin
teri talash mein hadd-e-junun talak bhi gaya
kuchh is ko pane ka tab bhi yaqin tha ab bhi nahin
dikha ke garche wo mauhum si jhalak bhi gaya
rasa hua na hua bhed khul nahin paya
jo ek nala-e-shab jaanib-e-falak bhi gaya
rida-e-abr bala-e-hawa se chaak hui
to kya hai sar se jo aanchal tera Dhalak bhi gaya
sira bhi hath mein tha kholne ki fikr bhi thi
magar wo uqda-e-pur-pech-o-gunjlak bhi gaya
ye ins-o-jaan sada se KHata ke putle the
pa ho ke randa-e-dargah ab malak bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.