ayan be-rangi-e-KHakistar-e-dil hoti jati hai
ayaañ be-rangī-e-ḳhākistar-e-dil hotī jaatī hai
ba-vasf-e-sham.a bhī tārīk mahfil hotī jaatī hai
mukammal surḳhi-e-afsāna-e-dil hotī jaatī hai
hamārī dāstāñ sunñe ke qābil hotī jaatī hai
hujūm-e-yās se ye sūrat-e-dil hotī jaatī hai
mujhe ab shām-e-mahfil sub.h-e-mahfil hotī jaatī hai
nigāh-e-nāz vāqif ho chalī pinhā.ī-e-dil se
ki jazb-e-dil ba-qadr-e-vus.at-e-dil hotī jaatī hai
sunāne ko hamāre kah rahā hai koī mahfil meñ
udāsī kyoñ sharīk-e-rang-e-mahfil hotī jaatī hai
na jaane maiñ jahān-e-shauq meñ kyā bantā jaatā huuñ
ki jo shai miTtī jaatī hai mirā dil hotī jaatī hai
ye parvānoñ kī nāsheñ aur aañsū sham-e-sozāñ ke
murattab aur ik mahfil meñ mahfil hotī jaatī hai
safīne kā hamāre dekh kar ruḳh jānib-e-sāhil
'shifā' kyoñ ābdīda sham-e-sāhil hotī jaatī hai
ayan be-rangi-e-KHakistar-e-dil hoti jati hai
ba-wasf-e-shama bhi tarik mahfil hoti jati hai
mukammal surKHi-e-afsana-e-dil hoti jati hai
hamari dastan sunne ke qabil hoti jati hai
hujum-e-yas se ye surat-e-dil hoti jati hai
mujhe ab sham-e-mahfil subh-e-mahfil hoti jati hai
nigah-e-naz waqif ho chali pinhai-e-dil se
ki jazb-e-dil ba-qadr-e-wusat-e-dil hoti jati hai
sunane ko hamare kah raha hai koi mahfil mein
udasi kyon sharik-e-rang-e-mahfil hoti jati hai
na jaane main jahan-e-shauq mein kya banta jata hun
ki jo shai miTti jati hai mera dil hoti jati hai
ye parwanon ki nashen aur aansu sham-e-sozan ke
murattab aur ek mahfil mein mahfil hoti jati hai
safine ka hamare dekh kar ruKH jaanib-e-sahil
'shifa' kyon aabdida sham-e-sahil hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.