ayan dekhte hain nihan dekhte hain
'ayāñ dekhte haiñ nihāñ dekhte haiñ
vahī jalva-gar hai jahāñ dekhte haiñ
hai dair-o-haram us se mansūb lekin
jahāñ hai vo ham bhī kahāñ dekhte haiñ
banī hai jo parda vo hastī hai apnī
vahī hai jise darmiyāñ dekhte haiñ
maze jis ne chakkhe hoñ terī galī ke
kahāñ phir vo sū-e-jināñ dekhte haiñ
jabīñ ko hai nisbat usī sang-e-dar se
jise jhuk ke haft-āsmāñ dekhte haiñ
na jāneñ judā juzv ko kul se jo bhī
vo kasrat se vahdat 'ayāñ dekhte haiñ
'muzammil' jo hastī miTāte haiñ apnī
vahī be-nishāñ kā nishāñ dekhte haiñ
'ayan dekhte hain nihan dekhte hain
wahi jalwa-gar hai jahan dekhte hain
hai dair-o-haram us se mansub lekin
jahan hai wo hum bhi kahan dekhte hain
bani hai jo parda wo hasti hai apni
wahi hai jise darmiyan dekhte hain
maze jis ne chakkhe hon teri gali ke
kahan phir wo su-e-jinan dekhte hain
jabin ko hai nisbat usi sang-e-dar se
jise jhuk ke haft-asman dekhte hain
na jaanen juda juzw ko kul se jo bhi
wo kasrat se wahdat 'ayan dekhte hain
'muzammil' jo hasti miTate hain apni
wahi be-nishan ka nishan dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.