ayan nahin hai qabile walon pe haal mera
ayan nahin hai qabile walon pe haal mera
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
ayaañ nahīñ hai qabīle vāloñ pe haal merā
abhī kisī par khulā nahīñ hai kamāl merā
chalo ki aaj apnī apnī duniyā ko bāñTte haiñ
uruuj tum apne paas rakhnā zavāl merā
bhare jazīre pe DhūñDhtā phir rahā huuñ us ko
yahīñ kahīñ kho gayā thā mujh se vo laal merā
maiñ apnī marzī se jitne din tak qiyām kar luuñ
hai ahl-e-sahrā se rābta yuuñ bahāl merā
ka.ī zamānoñ kī gard se aT chukā hai 'jāmī'
ye dhundlā aa.ina ḳhudārā ujaal merā
ayan nahin hai qabile walon pe haal mera
abhi kisi par khula nahin hai kamal mera
chalo ki aaj apni apni duniya ko banTte hain
uruj tum apne pas rakhna zawal mera
bhare jazire pe DhunDhta phir raha hun us ko
yahin kahin kho gaya tha mujh se wo lal mera
main apni marzi se jitne din tak qiyam kar lun
hai ahl-e-sahra se rabta yun bahaal mera
kai zamanon ki gard se aT chuka hai 'jami'
ye dhundla aaina KHudara ujal mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.