az azal shauq kisi ghair ka diwana raha
az azal shauq kisī ġhair kā dīvāna rahā
aur apnoñ se hamesha koī an-jānā rahā
din-ba-din girtī ga.ī apne hī me'yār se aap
haa.e is qaum ko koī ġham-e-fardā na rahā
aisā lagtā hai ki vājib huā jaanā apnā
koī is des meñ jab apnā shanāsā na rahā
ham haqīqat ke tasavvur se rahe nā-mānūs
apne hisse meñ hamesha koī afsāna rahā
bāb-e-taslīm-o-razā par kiyā sar ḳham jab se
phir nazar meñ koī dar aur darīcha na rahā
ab mujhe daan kiye jaate ho jaane kyā kyā
jab mire hoñToñ pe koī bhī taqāzā na rahā
mujh se nālāñ hī dikhā.ī diyā vo kahtā huā
pahle 'tasnīm' to achchhā thā ab achchhā na rahā
az azal shauq kisi ghair ka diwana raha
aur apnon se hamesha koi an-jaana raha
din-ba-din girti gai apne hi me'yar se aap
hae is qaum ko koi gham-e-farda na raha
aisa lagta hai ki wajib hua jaana apna
koi is des mein jab apna shanasa na raha
hum haqiqat ke tasawwur se rahe na-manus
apne hisse mein hamesha koi afsana raha
bab-e-taslim-o-raza par kiya sar KHam jab se
phir nazar mein koi dar aur daricha na raha
ab mujhe dan kiye jate ho jaane kya kya
jab mere honTon pe koi bhi taqaza na raha
mujh se nalan hi dikhai diya wo kahta hua
pahle 'tasnim' to achchha tha ab achchha na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.