az-bas bhala lage hai tu mere yar mujhko
az-bas bhala lage hai tu mere yar mujhko
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
az-bas bhalā lage hai tū mere yaar mujh ko
be-iḳhtiyār tujh par aatā hai pyaar mujh ko
sayyād kā burā ho jis ke taġhāfuloñ ne
kunj-e-qafas meñ rakkhā fasl-e-bahār mujh ko
jā.ūñ kidhar ko yaaro mānind-e-said-e-ḳhargah
mizhgāñ ne kar rakhā hai us kī shikār mujh ko
is raftagī pe mujh se kartā hai tū taġhāful
DāñTe hai tis pe ulTā phir baar baar mujh ko
merā qusūr kyā hai saan.e ko chāhiye thā
miqdār-e-husn detā sabr-o-qarār mujh ko
fitna hai yā parī hai jaadū hai yā balā hai
āñkhoñ se ye kiyā hai kis kī do-chār mujh ko
ai 'mus.hafī' tasavvur us kā jo sāmne hai
aatā nahīñ shab-e-ġham yak-dam qarār mujh ko
az-bas bhala lage hai tu mere yar mujh ko
be-iKHtiyar tujh par aata hai pyar mujh ko
sayyaad ka bura ho jis ke taghafulon ne
kunj-e-qafas mein rakkha fasl-e-bahaar mujh ko
jaun kidhar ko yaro manind-e-said-e-KHargah
mizhgan ne kar rakha hai us ki shikar mujh ko
is raftagi pe mujh se karta hai tu taghaful
DanTe hai tis pe ulTa phir bar bar mujh ko
mera qusur kya hai sane ko chahiye tha
miqdar-e-husn deta sabr-o-qarar mujh ko
fitna hai ya pari hai jadu hai ya bala hai
aankhon se ye kiya hai kis ki do-chaar mujh ko
ai 'mushafi' tasawwur us ka jo samne hai
aata nahin shab-e-gham yak-dam qarar mujh ko
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 238)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.