az-had sawal-e-wasl pe israr ho chuka
az-had savāl-e-vasl pe isrār ho chukā
iqrār ab to kījiye inkār ho chukā
vo ārzū-e-dil se ḳhabar-dār ho chukā
tamhīd-e-vasl sunte hī hushiyār ho chukā
saaqī jo tere jaam se sarshār ho chukā
bas roz-e-hashr tak bhī vo hushiyār ho chukā
ab lan-tarānī-o-arinī ke vo din kahāñ
ḳhud faiz-e-ishq-e-yār se maiñ yaar ho chukā
tajvīz meñ sazā kī kalām ab nahīñ rahā
ḳhud mujh se jurm-e-ishq kā iz.hār ho chukā
saffāk rahm aaya mire dil pe kab tujhe
jab tiir ġharq tā-lab-e-sūfār ho chukā
ab mere haal par na sitamgār rahm kar
ye dil rahīn-e-lazzat-e-āzār ho chukā
pahuñchāyā zo.af ne mujhe jab bazm-e-yār tak
barḳhāst log ho ga.e darbār ho chukā
is meñ qasam ḳhudā kī buto jhuuT kuchh nahīñ
maiñ tum se ishq kar ke gunahgār ho chukā
bad-nāmiyoñ kā ḳhauf mujhe ab nahīñ rahā
rusvā-e-ḳhalq maiñ sar-e-bāzār ho chukā
ab iztirāb kyoñ hai zarūrat hai sabr kī
'sābir' jab un ko vasl kā iqrār ho chukā
az-had sawal-e-wasl pe israr ho chuka
iqrar ab to kijiye inkar ho chuka
wo aarzu-e-dil se KHabar-dar ho chuka
tamhid-e-wasl sunte hi hushiyar ho chuka
saqi jo tere jam se sarshaar ho chuka
bas roz-e-hashr tak bhi wo hushiyar ho chuka
ab lan-tarani-o-arini ke wo din kahan
KHud faiz-e-ishq-e-yar se main yar ho chuka
tajwiz mein saza ki kalam ab nahin raha
KHud mujh se jurm-e-ishq ka izhaar ho chuka
saffak rahm aaya mere dil pe kab tujhe
jab tir gharq ta-lab-e-sufar ho chuka
ab mere haal par na sitamgar rahm kar
ye dil rahin-e-lazzat-e-azar ho chuka
pahunchaya zoaf ne mujhe jab bazm-e-yar tak
barKHast log ho gae darbar ho chuka
is mein qasam KHuda ki buto jhuT kuchh nahin
main tum se ishq kar ke gunahgar ho chuka
bad-namiyon ka KHauf mujhe ab nahin raha
ruswa-e-KHalq main sar-e-bazar ho chuka
ab iztirab kyon hai zarurat hai sabr ki
'sabir' jab un ko wasl ka iqrar ho chuka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.