azab apne muqaddar mein aur kya hoga
azaab apne muqaddar meñ aur kyā hogā
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ sadiyoñ kā fāsla hogā
vafūr-e-bād-e-muḳhālif se kāñpte haiñ shajar
lachaktī shāḳh se pattā koī girā hogā
sunā.eñ kis ko ye rūdād-e-kāvish-e-nākām
ki ye fasāna-e-ġham to kahā sunā hogā
hamārī bazm-e-basīrat hamārī sham-e-ḳhayāl
vo ham nahīñ jinheñ auroñ kā aasrā hogā
luTā to deñ isī mahfil meñ nuur kī sauġhāt
yahāñ pe kaun magar ramz-āshnā hogā
hai shauq-e-ramz-e-safar aur ḳhayāl-e-mish.al-e-rāh
kabhī to nūr-e-azal terā sāmnā hogā
azab apne muqaddar mein aur kya hoga
KHayal-o-KHwab mein sadiyon ka fasla hoga
wafur-e-baad-e-muKHalif se kanpte hain shajar
lachakti shaKH se patta koi gira hoga
sunaen kis ko ye rudad-e-kawish-e-nakaam
ki ye fasana-e-gham to kaha suna hoga
hamari bazm-e-basirat hamari sham-e-KHayal
wo hum nahin jinhen auron ka aasra hoga
luTa to den isi mahfil mein nur ki saughat
yahan pe kaun magar ramz-ashna hoga
hai shauq-e-ramz-e-safar aur KHayal-e-mishal-e-rah
kabhi to nur-e-azal tera samna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.