azab-e-dil se kabhi karb-e-jaan se guzrega
'azāb-e-dil se kabhī karb-e-jāñ se guzregā
jo sach kahegā ġham-e-bekarāñ se guzregā
abhī na band karo maqtaloñ ke darvāze
abhī ik aur masīhā yahāñ se guzregā
chaman chaman meñ khaḌe haiñ ḳhizāñ ke pahre-dār
julūs-e-fasl-e-bahārāñ kahāñ se guzregā
ye inqalāb kā pahlū bhī kis ne sochā thā
ḳhizāñ ke baa'd gulistāñ ḳhizāñ se guzregā
koī bhī fitna ho yaaro kahīñ bhī barpā ho
hamāre shahr hamāre makāñ se guzregā
maqām-e-sūd-o-ziyāñ ho ki arz-e-dār-o-rasan
guzarne vaalā har ik imtihāñ se guzregā
ravish ravish pe sajā do guloñ kī qindīleñ
ki aaj jān-e-chaman gulsitāñ se guzregā
jabīn-e-vaqt ke tevar batā rahe haiñ 'azīz'
ki fard-fard abhī imtihāñ se guzregā
'azab-e-dil se kabhi karb-e-jaan se guzrega
jo sach kahega gham-e-bekaran se guzrega
abhi na band karo maqtalon ke darwaze
abhi ek aur masiha yahan se guzrega
chaman chaman mein khaDe hain KHizan ke pahre-dar
julus-e-fasl-e-bahaaran kahan se guzrega
ye inqalab ka pahlu bhi kis ne socha tha
KHizan ke ba'd gulistan KHizan se guzrega
koi bhi fitna ho yaro kahin bhi barpa ho
hamare shahr hamare makan se guzrega
maqam-e-sud-o-ziyan ho ki arz-e-dar-o-rasan
guzarne wala har ek imtihan se guzrega
rawish rawish pe saja do gulon ki qindilen
ki aaj jaan-e-chaman gulsitan se guzrega
jabin-e-waqt ke tewar bata rahe hain 'aziz'
ki fard-fard abhi imtihan se guzrega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.