azab-e-jaan ko bhi imbisat samjha main
azāb-e-jān ko bhī imbisāt samjhā maiñ
ḳhudā ne ġham bhī diye to nashāt samjhā meñ
chalā sañbhal ke kahīñ jā girūñ na dozaḳh meñ
rah-e-hayāt tujhe pul-sirāt samjhā maiñ
uThā jo ziist kā me.aar gir gayā aḳhlāq
ġhalat bhī kyā hai agar inhitāt samjhā maiñ
thī terī pahlū-tahī kab ba-vaj.h-e-rusvā.ī
vo be-ruḳhī thī jise ehtiyāt samjhā maiñ
kitāb-e-haq ne dikhāyā jo aa.ina 'ārif'
maiñ kyā huuñ tab kahīñ apnī bisāt samjhā maiñ
azab-e-jaan ko bhi imbisat samjha main
KHuda ne gham bhi diye to nashat samjha mein
chala sanbhal ke kahin ja girun na dozaKH mein
rah-e-hayat tujhe pul-siraat samjha main
uTha jo zist ka mear gir gaya aKHlaq
ghalat bhi kya hai agar inhitat samjha main
thi teri pahlu-tahi kab ba-wajh-e-ruswai
wo be-ruKHi thi jise ehtiyat samjha main
kitab-e-haq ne dikhaya jo aaina 'arif'
main kya hun tab kahin apni bisat samjha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.