azab-e-raKHt-e-safar se KHamosh hote hue
azāb-e-raḳht-e-safar se ḳhamosh hote hue
kisī ko dekhā hai ḳhāna-ba-dosh hote hue
us aadmī ko faqat shauq-e-bāġhbānī hai
udaas hogā bahut gul-farosh hote hue
daraḳht aise ḳhad-o-ḳhāl meñ milā mujh ko
sarāpā zard lagā sabz-posh hote hue
sadā-e-dād-e-suḳhan bazm meñ kuchh aisī thī
ki log chīḳh rahe the ḳhamosh hote hue
bahut se log to ab bhī haiñ gumrahī ke shikār
bhaTak rahe haiñ payām-e-sarosh hote hue
bas us ke ek hī jalve se tum hue behosh
tumheñ bhī aa gayā ġhash ahl-e-hosh hote hue
safar meñ ab ke vo zād-e-safar rahā 'dilbar'
lagā na bār-e-garāñ bār-e-dosh hote hue
azab-e-raKHt-e-safar se KHamosh hote hue
kisi ko dekha hai KHana-ba-dosh hote hue
us aadmi ko faqat shauq-e-baghbani hai
udas hoga bahut gul-farosh hote hue
daraKHt aise KHad-o-KHal mein mila mujh ko
sarapa zard laga sabz-posh hote hue
sada-e-dad-e-suKHan bazm mein kuchh aisi thi
ki log chiKH rahe the KHamosh hote hue
bahut se log to ab bhi hain gumrahi ke shikar
bhaTak rahe hain payam-e-sarosh hote hue
bas us ke ek hi jalwe se tum hue behosh
tumhein bhi aa gaya ghash ahl-e-hosh hote hue
safar mein ab ke wo zad-e-safar raha 'dilbar'
laga na bar-e-garan bar-e-dosh hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.