azab-e-tishna-labi ka shikar tha wo shaKHs
azāb-e-tishna-labī kā shikār thā vo shaḳhs
agarche mere liye ābshār thā vo shaḳhs
chhupā chhupā ke bhī ḳhud meñ chhupā na paayā mujhe
khañDar ke chāroñ taraf ik hisār thā vo shaḳhs
vo jāntā thā hasīñ uñgliyoñ kī zahrābī
isī liye to gul-e-ḳhār-dār thā vo shaḳhs
safed chāñdnī kī reshmī rūmāl oḌhe
siyāh raat ke rath par savār thā vo shaḳhs
na thā ġhulām kisī māddī sahāre kā
baġhair asā ke samundar guzār thā vo shaḳhs
har ek lamhe ke āḳhir meñ mujh se laḌtā thā
'niyāz' mere laḌakpan kā pyaar thā vo shaḳhs
azab-e-tishna-labi ka shikar tha wo shaKHs
agarche mere liye aabshaar tha wo shaKHs
chhupa chhupa ke bhi KHud mein chhupa na paya mujhe
khanDar ke chaaron taraf ek hisar tha wo shaKHs
wo jaanta tha hasin ungliyon ki zahrabi
isi liye to gul-e-KHar-dar tha wo shaKHs
safed chandni ki reshmi rumal oDhe
siyah raat ke rath par sawar tha wo shaKHs
na tha ghulam kisi maddi sahaare ka
baghair asa ke samundar guzar tha wo shaKHs
har ek lamhe ke aaKHir mein mujh se laDta tha
'niyaz' mere laDakpan ka pyar tha wo shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.