azab ho gai zanjir-e-dast-o-pa mujhko
azaab ho ga.ī zanjīr-e-dast-o-pā mujh ko
jo ho sake to kahīñ daar pe chaḌhā mujh ko
taras gayā huuñ maiñ sūraj kī raushnī ke liye
vo dī hai sāya-e-dīvār ne sazā mujh ko
jo dekhe to isī se hai zindagī mere
magar miTā bhī rahī hai yahī havā mujh ko
usī nazar ne mujhe toḌ kar bikher diyā
usī nazar ne banāyā thā ā.īna mujh ko
sarāb-e-umr-e-tamannā kī tishnagī huuñ maiñ
agar hai chashma-e-faiyāz to bujhā mujh ko
kabhī to apne badan ke charāġh raushan kar
kabhī to apne lahū se bhī aazmā mujh ko
azab ho gai zanjir-e-dast-o-pa mujh ko
jo ho sake to kahin dar pe chaDha mujh ko
taras gaya hun main suraj ki raushni ke liye
wo di hai saya-e-diwar ne saza mujh ko
jo dekhe to isi se hai zindagi mere
magar miTa bhi rahi hai yahi hawa mujh ko
usi nazar ne mujhe toD kar bikher diya
usi nazar ne banaya tha aaina mujh ko
sarab-e-umr-e-tamanna ki tishnagi hun main
agar hai chashma-e-faiyaz to bujha mujh ko
kabhi to apne badan ke charagh raushan kar
kabhi to apne lahu se bhi aazma mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.