azab sa hai dil-e-na-murad par kab se
azaab sā hai dil-e-nā-murād par kab se
khaḌā huuñ maiñ ravish-e-gard-bād par kab se
kabhī miloge kahīñ to miloge jiite jī
maiñ jī rahā huuñ isī e'timād par kab se
jo baaḌh aa.ī to be-chāra bah gayā ḳhud hī
jo band bāñdh rahā thā fasād par kab se
vo zindagī jo kabhī muḌ ke dekhtī bhī nahīñ
maiñ mar rahā huuñ usī bad-nihād par kab se
mire qalam pe bhī shab-ḳhūn paḌ gayā āḳhir
muhāsara thā mirī jā.edād par kab se
maiñ raushnī ko bhulā duuñ to kyā ta.ajjub hai
baras rahā hai dhuāñ merī yaad par kab se
mire vajūd meñ kyā shāhkār hai pinhāñ
chaḌhā rahā hai zamāna ḳharād par kab se
tamām shahr-e-samā.at laraz uThā 'qaisar'
nikal paḌī hai ḳhamoshī jihād par kab se
azab sa hai dil-e-na-murad par kab se
khaDa hun main rawish-e-gard-baad par kab se
kabhi miloge kahin to miloge jite ji
main ji raha hun isi e'timad par kab se
jo baDh aai to be-chaara bah gaya KHud hi
jo band bandh raha tha fasad par kab se
wo zindagi jo kabhi muD ke dekhti bhi nahin
main mar raha hun usi bad-nihad par kab se
mere qalam pe bhi shab-KHun paD gaya aaKHir
muhasara tha meri jaedad par kab se
main raushni ko bhula dun to kya tajjub hai
baras raha hai dhuan meri yaad par kab se
mere wajud mein kya shahkar hai pinhan
chaDha raha hai zamana KHarad par kab se
tamam shahr-e-samaat laraz uTha 'qaisar'
nikal paDi hai KHamoshi jihad par kab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.