azabon ki rut ne kiya aise tanha
azāboñ kī rut ne kiyā aise tanhā
na āñkhoñ meñ sapne na dil meñ tamanna
tirī kam-sinī ke ye mausam ajab haiñ
kabhī tū hai durgā kabhī tū hai siitā
masīhā-sifat us kī āñkheñ haiñ lekin
mire zaḳhm-e-dil se use vāsta kyā
javānī ragoñ meñ azaañ de rahī hai
magar soch kahtī hai ruk jā ḳhudārā
batā zabt kā imtihāñ aur kab tak
maiñ koī payambar na koī farishta
dhanak chāñd badlī kalī phuul titlī
ġhazal meñ haiñ raushan kabhī tū bhī aa jā
azabon ki rut ne kiya aise tanha
na aankhon mein sapne na dil mein tamanna
teri kam-sini ke ye mausam ajab hain
kabhi tu hai durga kabhi tu hai sita
masiha-sifat us ki aankhen hain lekin
mere zaKHm-e-dil se use wasta kya
jawani ragon mein azan de rahi hai
magar soch kahti hai ruk ja KHudara
bata zabt ka imtihan aur kab tak
main koi payambar na koi farishta
dhanak chand badli kali phul titli
ghazal mein hain raushan kabhi tu bhi aa ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.