azal hi se na tha taqdir mein jab shadman hona
azal hi se na tha taqdir mein jab shadman hona
Mohammad Mirza Wasif Rudaulvi
MORE BYMohammad Mirza Wasif Rudaulvi
azal hī se na thā taqdīr meñ jab shādmāñ honā
abas hai shikva-sanj-e-zulm-o-jaur-e-āsmāñ honā
sitam hai sāmne āñkhoñ ke vīrāñ āshiyāñ honā
jo kuchh chāhe kare majbūr bekas nā-tavāñ honā
kisī se mehr kī bāteñ kare kis tarah vo bad-ḳhū
sikhāyā hī nahīñ fitrat ne us ko mehrbāñ honā
sukūñ ba.ad-e-fanā kyā ḳhaak miltā kunj-e-marqad meñ
hamārī ḳhaak ko thā gard-e-rāh-e-kārvāñ honā
bahut āsāñ hai 'vāsif' is tarah kī zamzama-sanjī
magar hai bulbul-e-sidra kā mushkil ham-zabāñ honā
azal hi se na tha taqdir mein jab shadman hona
abas hai shikwa-sanj-e-zulm-o-jaur-e-asman hona
sitam hai samne aankhon ke viran aashiyan hona
jo kuchh chahe kare majbur bekas na-tawan hona
kisi se mehr ki baaten kare kis tarah wo bad-KHu
sikhaya hi nahin fitrat ne us ko mehrban hona
sukun baad-e-fana kya KHak milta kunj-e-marqad mein
hamari KHak ko tha gard-e-rah-e-karwan hona
bahut aasan hai 'wasif' is tarah ki zamzama-sanji
magar hai bulbul-e-sidra ka mushkil ham-zaban hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.