azal ke zāviye sab zindagī se nikle haiñ
na jaane kitne hī ġham ik ḳhushī se nikle haiñ
kamāl ye nahīñ nikle haiñ rokne par bhī
kamāl ye hai ki aañsū hañsī se nikle haiñ
lagā thā dard sabhī dushmanī se nikleñge
magar jo nikle vo sab dostī se nikle haiñ
isī liye hai mujhe koft āshnā.ī se
maiñ jāntā thā jinheñ ajnabī se nikle haiñ
kabhī kabhī to ye lagtā hai fursatoñ ke pal
mirī ghaḌī ke sivā har ghaḌī se nikle haiñ
bhare haiñ zaḳhm sabhī marham-e-mohabbat se
nishān-e-zaḳhm bhī saare isī se nikle haiñ
savāl ye hai ki kyoñ kar 'navā' hue ghāyal
javāb ye hai ki dil kī galī se nikle haiñ
azal ke zawiye sab zindagi se nikle hain
na jaane kitne hi gham ek KHushi se nikle hain
kamal ye nahin nikle hain rokne par bhi
kamal ye hai ki aansu hansi se nikle hain
laga tha dard sabhi dushmani se niklenge
magar jo nikle wo sab dosti se nikle hain
isi liye hai mujhe koft aashnai se
main jaanta tha jinhen ajnabi se nikle hain
kabhi kabhi to ye lagta hai fursaton ke pal
meri ghaDi ke siwa har ghaDi se nikle hain
bhare hain zaKHm sabhi marham-e-mohabbat se
nishan-e-zaKHm bhi sare isi se nikle hain
sawal ye hai ki kyon kar 'nawa' hue ghayal
jawab ye hai ki dil ki gali se nikle hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.