azal kya ibtida husn-o-mohabbat ke tarane ki
azal kyā ibtidā husn-o-mohabbat ke tarāne kī
abad kyā sirf ik badlī huī surḳhī fasāne kī
taḌaptī bijliyāñ phir ḳhāna-barbādī ke darpai haiñ
qafas kī ḳhair yārab ho chukī ḳhair āshiyāne kī
hamārī zindagī bhī ek fursat thī magar kitnī
faqat rang-e-tamannā ke chaḌhāne yā uḌāne kī
qafas ik taar hai tan ek miTTī kā gharauñdā hai
haqīqat qaid kī ye hai ye hastī qaid-ḳhāne kī
vo āñkheñ dekh kar maiñ kyā zamāna kahne lagtā hai
ki un meñ hai jise kahte haiñ sab gardish zamāne kī
hamārī zindagī bad-mastiyoñ kā daur thī 'beḳhud'
idhar ho kar nahīñ niklī tamanna hosh aane kī
azal kya ibtida husn-o-mohabbat ke tarane ki
abad kya sirf ek badli hui surKHi fasane ki
taDapti bijliyan phir KHana-barbaadi ke darpai hain
qafas ki KHair yarab ho chuki KHair aashiyane ki
hamari zindagi bhi ek fursat thi magar kitni
faqat rang-e-tamanna ke chaDhane ya uDane ki
qafas ek tar hai tan ek miTTi ka gharaunda hai
haqiqat qaid ki ye hai ye hasti qaid-KHane ki
wo aankhen dekh kar main kya zamana kahne lagta hai
ki un mein hai jise kahte hain sab gardish zamane ki
hamari zindagi bad-mastiyon ka daur thi 'beKHud'
idhar ho kar nahin nikli tamanna hosh aane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.