azal mein ho na ho ye jalwa-gah-e-ru-e-jaanan tha
azal meñ ho na ho ye jalva-gāh-e-rū-e-jānāñ thā
ki sub.h-e-hashr bhī ḳhurshīd kā ā.īna larzāñ thā
junūñ ke sar pe jab tak panja-e-vahshat kā sāmāñ thā
garebāñ thā abhī dāman abhī dāman garebāñ thā
ḳhudā jaane qafas meñ kyoñ taḌap kar mar ga.ī bulbul
ye dekhā hai abhī bijlī kā ruḳh sū-e-gulistāñ thā
zamīn-o-āsmāñ kī qaid kaisī josh-e-vahshat meñ
jahāñ tak bhī nazar pahūñchī bayābāñ hī bayābāñ thā
falak par naaz umaDte the zamīñ se naaz ubalte the
vo aalam thā ajab aalam ki jab koī ḳhirāmāñ thā
mire dil kī tarah the chaak donoñ ishq ke hāthoñ
zuleḳhā kā garebāñ thā ki vo yūsuf kā dāmāñ thā
tan-e-murda pe ḳhauf-o-shauq se ye ruuh kahtī hai
yahī zindāñ thā ghar apnā yahī ghar apnā zindāñ thā
mire jiine se maut achchhī qasam hai be-gunāhī kī
vahī dil de mujhe yā-rab ki jis meñ shauq-e-isyāñ thā
phirī hai jab kabhī tasvīr āñkhoñ meñ qayāmat kī
ye dekhā hai ki apne haath meñ apnā garebāñ thā
siyāhī shām-e-furqat kī simaT aa.ī thī āñkhoñ meñ
ki roz-e-hashr nazroñ meñ mirī shām-e-ġharībāñ thā
lahad se qaid-ḳhāne ke bhī qaidī chhuT ga.e lekin
na chhūTe jis ke qaidī hashr meñ bhī dil vo zindāñ thā
mirī nazroñ meñ ab tak hai ye duniyā naaz kī duniyā
huī muddat ki ik andāz se koī ḳhirāmāñ thā
vidā-e-yār kī tajdīd ke armāñ se marte haiñ
vahī saa.at phir aatī jis meñ mar jaane kā sāmāñ thā
kisī ko pyaar aatā thā kisī ko haul aate the
maiñ ik ḳhvāb-e-pareshāñ thā meñ ik zulf-e-pareshāñ thā
zarūrat aise jalve ko thī be-shak aise majma.a kī
khulā ab hashr ke va.ade meñ jo kuchh raaz pinhāñ thā
ḳhayāl-o-dil nigāh-o-chashm kā aalam hī dekhā hai
vo har dam thā mire āġhosh meñ har dam gurezāñ thā
ye kaifiyyat thī in āñkhoñ kī 'beḳhud' josh-e-mastī meñ
ghaTā.eñ jhuktī uThtī thiiñ baras paḌne kā sāmāñ thā
azal mein ho na ho ye jalwa-gah-e-ru-e-jaanan tha
ki subh-e-hashr bhi KHurshid ka aaina larzan tha
junun ke sar pe jab tak panja-e-wahshat ka saman tha
gareban tha abhi daman abhi daman gareban tha
KHuda jaane qafas mein kyon taDap kar mar gai bulbul
ye dekha hai abhi bijli ka ruKH su-e-gulistan tha
zamin-o-asman ki qaid kaisi josh-e-wahshat mein
jahan tak bhi nazar pahunchi bayaban hi bayaban tha
falak par naz umaDte the zamin se naz ubalte the
wo aalam tha ajab aalam ki jab koi KHiraman tha
mere dil ki tarah the chaak donon ishq ke hathon
zuleKHa ka gareban tha ki wo yusuf ka daman tha
tan-e-murda pe KHauf-o-shauq se ye ruh kahti hai
yahi zindan tha ghar apna yahi ghar apna zindan tha
mere jine se maut achchhi qasam hai be-gunahi ki
wahi dil de mujhe ya-rab ki jis mein shauq-e-isyan tha
phiri hai jab kabhi taswir aankhon mein qayamat ki
ye dekha hai ki apne hath mein apna gareban tha
siyahi sham-e-furqat ki simaT aai thi aankhon mein
ki roz-e-hashr nazron mein meri sham-e-ghariban tha
lahad se qaid-KHane ke bhi qaidi chhuT gae lekin
na chhuTe jis ke qaidi hashr mein bhi dil wo zindan tha
meri nazron mein ab tak hai ye duniya naz ki duniya
hui muddat ki ek andaz se koi KHiraman tha
wida-e-yar ki tajdid ke arman se marte hain
wahi saat phir aati jis mein mar jaane ka saman tha
kisi ko pyar aata tha kisi ko haul aate the
main ek KHwab-e-pareshan tha mein ek zulf-e-pareshan tha
zarurat aise jalwe ko thi be-shak aise majma ki
khula ab hashr ke wade mein jo kuchh raaz pinhan tha
KHayal-o-dil nigah-o-chashm ka aalam hi dekha hai
wo har dam tha mere aaghosh mein har dam gurezan tha
ye kaifiyyat thi in aankhon ki 'beKHud' josh-e-masti mein
ghaTaen jhukti uThti thin baras paDne ka saman tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.